KHwab mein hath chhuDati hui taqdir ka dukh
By wasim-nadirMarch 1, 2024
khwab mein hath chhudati hui taqdir ka dukh
aankh se lipta hai ab tak usi ta'bir ka dukh
qaid-khane mein yahi soch ke wapas aaya
mujh ko ma'lum hai tanha padi zanjir ka dukh
koshishen kar ke bahar-haal musawwir haara
shokh rangon mein chhupa hi nahin taswir ka dukh
mashwara khana-kharabon se hi karna behtar
ek khandar hi bata sakta hai ta'mir ka dukh
mahfil-e-she’r-o-sukhan yunhi rahe bagh-o-bahaar
nasl-dar-nasl chale 'mir-taqi-mir' ka dukh

16248 viewsghazal • English