khwab sarikha chhutpan sawan pyaz ki roti desi ghi amma ke sil-batte wali dhaniye lahsan ki chatni kachchi mitti ke ghar jaise bachchon ko sahlate the gubri wale dalanon par chot kabhi na lagti thi das-barah chhedon se pani faware sa padta tha ghar mein tuti tilli wali ek purani si chhatri cycle thodi chaubis inchi unt chalaya karte the wo bhi tin charan mein bhayya qainchi danda phir gaddi nekar wali umron tak hum khak samajhte the juthan tote ke katre amrudon ko khane ki hod rahi ghar ki khapdailon ke andar tap-tap megh baraste the amma babu tankte rahte tin mein sabun ki tikki aangan ke aaghosh mein lete shab-bhar nam bigade the taron ko ishtar kahe the aur 'qamar' ko mama ji