KHwab se chaunk chaunk uTha ki nahin

By sultan-shahidOctober 4, 2023
khwab se chaunk chaunk utha ki nahin
naqsh-bar-ab tha mita ki nahin
mom mom aaftab pighla tha
aur samundar bhi barf tha ki nahin


sabz mausam pawan pawan mahka
koi pauda hara hua ki nahin
chhat pe suraj kiran kiran utra
raat ghar mein diya jala ki nahin


mauj-dar-mauj ek musalsal jang
ret ka ghar tera gira ki nahin
main safar-dar-safar khala mein raha
daera daera phira ki nahin


30242 viewsghazalEnglish