khwab se parda karo dekho mat ab agar dekh sako dekho mat girte shahtiron ke jangal hain ye shahr chup raho chalte raho dekho mat jhut sach donon hi aaine hain us taraf koi na ho dekho mat husn kya ek chaman ek kohram tez-o-ahista chalo dekho mat pankhudi ek parat aur parat kyun bakhede mein padho dekho mat har kali ek bhanwar ek baadal khel mein khel na ho dekho mat ye purani ye anokhi khushbu kuchh din aawara phiro dekho mat har taraf dekhne wali aankhen un ke sae se bacho dekho mat kam-libasi ho gila ya israr be-khabar jaise raho dekho mat aafiyat is mein hai ghafil guzro mat nigahon se giro dekho mat kenchuli hat gai zinda resham phir ye kahta hai hato dekho mat dekhte dekhte manzar hai kuchh aur dhul aankhon mein bharo dekho mat sath ke niche hai kya jaane kaun lahr ki lai pe badho dekho mat ek hi jal hai yahan maya-jal pyas ke jal buno dekho mat