khwab sitare hote honge lekin aankhen ret din dariyaon ke ham-joli hain aur raaten ret ek faqir ne meri jaanib dekha aur phir main mitti ki dheri ki surat tha aur sansen ret main sarsabz jazire jaisa tha par dasht hua us ne mujh se itna kaha tha teri baaten ret moti tutne lagte hain jab patthar baat karen aainon ko dukh hota hai jab hum bolen ret kabhi kabhi ji chahta hai ki tanha kamre mein hum kaghaz par ashk banaen aur phir likkhen ret 'zahid' raat ki khamoshi mein koi kahta hai danish-wanish aqlen-waqlen sochen-wohchen ret