khwab sunne se gae ishq batane se gae zindagi hum teri tauqir badhane se gae ghar ke aangan mein laga ped kata hai jab se hum teri baat parindon ko sunane se gae juz tujhe dekhne ke aur nahin tha koi kaam ye alag baat kisi aur bahane se gae jab se wahshat ne nai shakl nikali apni hum junun-zad kisi dasht mein jaane se gae waqt par us ne pahunchne ka kahlwaya tha hum hi takhir se pahunche so thikane se gae aasman roz mere khwab mein aa jata hai hum khayalon mein hasin chand banane se gae dil ki tanhai mein wahshat ki daraden hain 'said' hum daradon mein tera hijr basane se gae