KHwab-zada viranon tak

By mubashshir-saeedNovember 10, 2020
khwab-zada viranon tak
pahunchi nind thikanon tak
aawazon ke dariya mein
gharq hue hum shanon tak


bagh asasa hai apna
wo bhi zard zamanon tak
bench pe phaili khamoshi
pahunchi ped ke kanon tak


ishq-ibaadat karte log
jagen roz azanon tak
kirnen milne aati hain
ghar ke raushan-danon tak


zard udasi chhai hai
kheton se khaliyanon tak
49801 viewsghazalEnglish