KHwab-zadon ka dukh zamini hai

By sarfraz-zahidNovember 17, 2020
khwab-zadon ka dukh zamini hai
ye haqiqat badi kamini hai
ai khuda-e-guman koi tajwiz
marka ab koi yaqini hai


pattharon ke mizaj mein shamil
aabginon pe nukta-chini hai
wo mare samne se uth jae
jis ka maqsad tamash-bini hai


ghar ki tazin mein sar-e-fehrist
ek aurat ki nukta-chini hai
ek pal ke jamal mein yakja
kai sadiyon ki dil-nashini hai


82225 viewsghazalEnglish