KHwabon ki baat aankhon se Tali nahin gai
By alka-mishraOctober 24, 2020
khwabon ki baat aankhon se tali nahin gai
ek shab bhi meri kham-khayali nahin gai
us ka hi sath mujh ko mayassar nahin hua
yun to meri dua kabhi khali nahin gai
mujh se bichhad ke wo bhi akela raha magar
chhoti si baat dil se nikali nahin gai
sath apne meri nind bhi le kar chala gaya
jab se gaya wo aankh ki lali nahin gai
us ne bhi saf-goi se daman chhuda liya
khush-fahmi apne dil se bhi pali nahin gai
yun us ki aadaton mein taghaful shumar tha
rishton ki bag-dor sambhaali nahin gai
'alka' wo jis ne phunk diya mera aashiyan
yaadon se umr-bhar wo diwali nahin gai

61674 viewsghazal • English