khwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum kitni haqiqaton ko badalte rahe hain hum apne ghubar mein bhi hai wo zauq-e-sar-kashi pamal hauke arsh pe chalte rahe hain hum sau sau tarah se tujh ko sanwara hai husn-e-dost sau sau tarah se rang badalte rahe hain hum har dasht-o-dar mein phul khilane ke waste akasr to nok-e-khar pe chalte rahe hain hum aain-e-pasdari-e-sahra na chhut saka waz-e-junun agarche badalte rahe hain hum saqi na multafit ho to pina haram hai pyase bhi mai-kade se nikalte rahe hain hum koi khalil jis ko na gulzar kar saka tere liye is aag pe chalte rahe hain hum kya jaane kab wo subh-e-bahaaran ho jalwa-gar daur-e-khizan mein jis se bahalte rahe hain hum pursan-e-haal kab hui wo chashm-e-be-niyaz jab bhi gire hain khud hi sambhalte rahe hain hum sahil ki ishraton ko khabar bhi na ho saki tufan ban ke lakh machalte rahe hain hum takhil-e-lala-kar ye kahti hai ai 'surur' koi zamin ho phulte-phalte rahe hain hum