KHwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum

By
khwabon se yun to roz bahalte rahe hain hum
kitni haqiqaton ko badalte rahe hain hum

apne ghubar mein bhi hai wo zauq-e-sar-kashi
pamal hauke arsh pe chalte rahe hain hum

sau sau tarah se tujh ko sanwara hai husn-e-dost
sau sau tarah se rang badalte rahe hain hum

har dasht-o-dar mein phul khilane ke waste
aksar to nok-e-khar pe chalte rahe hain hum

aain-e-pasdari-e-sahra na chhut saka
waz'-e-junun agarche badalte rahe hain hum

saqi na multafit ho to pina haram hai
pyase bhi mai-kade se nikalte rahe hain hum

koi khalil jis ko na gulzar kar saka
tere liye is aag pe chalte rahe hain hum

kya jaane kab wo subh-e-bahaaran ho jalwa-gar
daur-e-khizan mein jis se bahalte rahe hain hum

pursan-e-haal kab hui wo chashm-e-be-niyaz
jab bhi gire hain khud hi sambhalte rahe hain hum

sahil ki ishraton ko khabar bhi na ho saki
tufan ban ke lakh machalte rahe hain hum

takhil-e-lala-kar ye kahti hai ai 'surur'
koi zamin ho phulte-phalte rahe hain hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close