khwahish-e-jada-e-rahat se nikalta kaise dil mera ku-e-malamat se nikalta kaise saya-e-wahm-o-guman chaar taraf phaila hai main abhi karb-o-aziyyat se nikalta kaise meri ruswai agar sath na deti mera yun sar-e-bazm main izzat se nikalta kaise meri nazren jo na padtin to wahan pichhli shab ek sitara sa teri chhat se nikalta kaise main ki barbaad hua did ki khatir jis ki wo mere dida-e-hairat se nikalta kaise us ke dam hi se to qaem hai mera jah-o-jalal wo mere dil ki hukumat se nikalta kaise jag baitha hun to dil duba nahin hai 'akhtar' soya rahta to musibat se nikalta kaise