khwahish-e-takht-o-taj aur hai kuchh lekin apna mizaj aur hai kuchh kya bharosa badalte mausam ka rang kal kuchh tha aaj aur hai kuchh pasdari yahan nahin chalti is nagar ka riwaj aur hai kuchh khush na ho hum jo ho gae khamosh surat-e-ehtijaj aur hai kuchh kaam chalta nahin hai marham se zakhm-e-dil ka ilaj aur hai kuchh sochna aur udas ho jaana haal hi dil ka aaj aur hai kuchh ek zamana tha ham-mizaj the hum ab to us ka mizaj aur hai kuchh sher kahna hai ek fan 'mohsin' daftari kaam-kaj aur hai kuchh