KHwahish ka bojh rakh liya dil ki asas par

By wasim-nadirMarch 1, 2024
khwahish ka bojh rakh liya dil ki asas par
ye kaam bhi kiya hai tere iltimas par
pani ki chand bunden mujhe mangni padin
sharmindagi hui hai bahut apni pyas par


lafzon mein jhilmilate hue gham nahin hain ye
jugnu tike hue hain ghazal ke libas par
nakaam hai ye kab se magar tutti nahin
hairan hota rahta hun main dil ki aas par


dil soch mein pada hai ki wo kaise hont the
jin ke nishan ubhre hain ab tak gilas par
95129 viewsghazalEnglish