ki is se pahle khizan ka shikar ho jaun saja lun khud ko mukammal bahaar ho jaun utarne ko pahadon se dhup ghati mein main koi chid koi dewdar ho jaun nahin hun tujh se main wabasta ai jahan lekin ye sochta hun ki ab hoshiyar ho jaun na bhae log yahan ke na shahr hi ye mujhe magar main khud se hi kaise farar ho jaun bhale hon taish mein lahren magar kise parwah main kud jaun to dariya ke par ho jaun koi jawab to suraj ke zulm ka bhi ho main barishon ki jo thandi phuwar ho jaun