ki mai se hazar bar tauba

By sardar-genda-singh-mashriqiNovember 17, 2020
ki mai se hazar bar tauba
rahti nahin barqarar tauba
tum mai se karo hazar bar tauba
tum se ye nibhe qarar tauba


bandon ko gunah tabah karte
hoti na jo gham-gusar tauba
hoti hai bahaar mein muattal
karte hain jo mai-gusar tauba


maqbul ho kyun na gar karen hum
ba-dida-e-ashk-bar tauba
hogi kabhi 'mashriqi' na qubul
piri mein karo hazar tauba


33497 viewsghazalEnglish