ki maine aah-e-garm jo furqat ki raat mein
By munshi-banwari-lal-sholaSeptember 26, 2023
ki main ne aah-e-garm jo furqat ki raat mein
ghul pad gaya ki aag lagi kaenat mein
lakhon se main do-chaar hua shash-jihat mein
tujh sa na paya dhund liya kaenat mein
chalti hai tere hath qayamat qadam qadam
ejaz-e-iswi hai teri baat baat mein
nichi nigah-e-naz ne kuchh to chura liya
aankhen lagi hui thin magar dil ke ghat mein
murdon mein jaan aa gai jab tere lab hile
isa ko kya kalam raha teri baat mein
sun le tumhaare gar lab-e-jaan-bakhsh ka maza
mar jae khizr dub ke aab-e-hayat mein
aise sukhan mein kya hai maza jis ke samain
mani hi dhundhte phiren kashf-ul-lughat mein
kya tab-e-shama hai sar-e-mahfil jo sar uthae
'shoala' zaban katti hai wan baat baat mein

16102 viewsghazal • English