kije mera yaqin kaha na nahin hun main
By ahmad-kamal-hashmiMay 24, 2024
kije mera yaqin kaha na nahin hun main
achchha dikhai deta hun achchha nahin hun main
main aaine ke jhut pe kaise karun yaqin
jaisa dikhai deta hun waisa nahin hun main
dariya dikhai deta hai dariya nahin hai wo
qatra dikhai deta hun qatra nahin hun main
rah rah ke main tatolta hun apne aap ko
ab kuchh dinon se lagta hai pura nahin hun main
patthar laga to zakhm ka ehsas bhi hua
diwana lag raha hun diwana nahin hun main
ab pattharon ne thak ke ye taslim kar liya
shisha dikhai deta hun shisha nahin hun main
ai be-wafa ye tujh se mera intiqam hai
mera nahin hai tu to kisi ka nahin hun main
apna bhi main nahin raha us din se ai 'kamal'
jis din se us ne kah diya tera nahin hun main

43529 viewsghazal • English