kin lafzon mein itni kadwi itni kasili baat likhun sher ki main tahzib bana hun ya apne haalat likhun gham nahin likkhun kya main gham ko jashn likhun kya matam ko jo dekhe hain main ne janaze kya un ko baraat likhun kaise likhun main chand ke qisse kaise likhun main phul ki baat ret udae garm hawa to kaise main barsat likhun kis kis ki aankhon mein dekhe main ne zahr bujhe khanjar khud se bhi jo main ne chhupae kaise wo sadmat likhun takht ki khwahish lut ki lalach kamzoron par zulm ka shauq lekin un ka farmana hai main in ko jazbaat likhun qatil bhi maqtul bhi donon nam khuda ka lete the koi khuda hai to wo kahan tha meri kya auqat likhun apni apni tariki ko log ujala kahte hain tariki ke nam likhun to qaumen firqe zat likhun jaane ye kaisa daur hai jis mein jurat bhi to mushkil hai din ho agar to us ko likhun din raat agar ho raat likhun