kin mausamon mein aaegi ikkiswin sadi

By jameel-malikJanuary 15, 2022
kin mausamon mein aaegi ikkiswin sadi
kya kya hamein dikhaegi ikkiswin sadi
kitne nae charagh jalane ke waste
kitne diye bujhaegi ikkiswin sadi


sukhe hue labon pe jo sadiyon ki pyas hai
kya pyas wo bujhaegi ikkiswin sadi
har ek sadi ke khwab nae aur nae azab
kya khel ab rachaegi ikkiswin sadi


ye biswin sadi to qayamat se kam na thi
kya hashr ab uthaegi ikkiswin sadi
sab ke dilon mein gunj hai jis inqalab ki
wo gunj kya sunaegi ikkiswin sadi


jitne sawal dil mein hain shoala-fishan 'jamil'
sab ka jawab laegi ikkiswin sadi
34929 viewsghazalEnglish