kis aarzu mein nikle hain us par kya kahen
By badiuzzaman-khawarOctober 8, 2023
kis aarzu mein nikle hain us par kya kahen
dekhenge ja ke kya pas-e-diwar kya kahen
kya ho gae tamam kharidar kya kahen
kyon so gae hain shahr ke bazar kya kahen
sab log chal rahe the saliben liye hue
tha un mein kaun kaun gunahgar kya kahen
hai kaun jis ko chhanw se hai itni dushmani
rakkhe hain kis ne kat ke ashjar kya kahen
pindar-e-dard kya hai ye jin ko nahin khabar
un sar-khushon se lazzat-e-azar kya kahen
ruswaiyon se tujh ko bachane ki fikr mein
kya kya hue hain tere liye khwar kya kahen
'khawar' unhen ye zid hai sunao nai ghazal
hum soch mein pade hain ki ash'ar kya kahen

66507 viewsghazal • English