kis fikr kis khayal mein khoya hua sa hai dil aaj teri yaad ko bhula hua sa hai gulshan mein is tarah se kab aai thi fasl-e-gul har phul apni shakh se tuta hua sa hai chal chal ke thak gaya hai ki manzil nahin koi kyun waqt ek mod pe thahra hua sa hai kya hadisa hua hai jahan mein ki aaj phir chehra har ek shakhs ka utra hua sa hai nazrana tere husn ko kya den ki apne pas le de ke ek dil hai so tuta hua sa hai pahle the jo bhi aaj magar karobar-e-ishq duniya ke karobar se milta hua sa hai lagta hai us ki baaton se ye 'shahryar' bhi yaron ke iltifat ka mara hua sa hai