kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya
By aamir-suhailApril 21, 2024
kis hatheli pe pa-posh sinche gae kis kahani ko be-nam rakha gaya
zanu-e-dil pe kal shab badi bhid thi jis ke barte pe anjam rakha gaya
hum shurua mohabbat se nadar the apni aankhon se honton se bezar the
hum se kya puchhte ho lahu ki khanak jis ke reshon mein ibham rakha gaya
intihaon mein tujh se alag ho gae ibtidaon se hi sahl-andaz the
'umr ke reg-zaron se guzre nahin aur shanon pe ilzam rakha gaya
raunaqon mein tamasha bane raat din khalwati the sada khalwati hi rahe
mushk ki nand kulhe pe dekhi gai aur pahlu mein ilham rakha gaya
aisi be-wuqati se tarasha gaya apne hone pe nadim rahe 'umr bhar
khushk mitti ke dhelon ko yakja kiya aandhiyon ke tale nam rakha gaya
ras-bhari kuhniyon ko nichoda gaya shahr ke chauk mein la ke chhoda gaya
jism ke dhile taron ko kaste rahe aur bhitar mein kohram rakha gaya
goliyon se udhadte rahe nam bhi baam-o-dar ki hikayat adhuri rahi
baam-o-dar ki hikayat ki jis ke ewaz bakht mein dana-o-dam rakha gaya
jam mein tund pani bhara dekhiye ab charaghon ki lau ko mera dekhiye
surkh qalin aur is pe bichhti ghazal jis ke zanu pe ehram rakha gaya

75562 viewsghazal • English