kis ke chamke chand se rukhsar qiasar-bagh mein chandni hai saya-e-diwar qiasar-bagh mein fil-haqiqat ye bhi kam gulzar-e-jannat se nahin huren phirti hain sar-e-bazar qiasar-bagh mein panw ka yan zikr kaisa saf hai aisi zamin dil phisalte hain dam-e-raftar qiasar-bagh mein zer-e-shakh-e-gul agar sabza kabhi sone laga shor-e-bulbul ne kiya bedar qiasar-bagh mein itne patte bhi na honge gulshan-e-firdaus mein jis qadar phulon ke hain ambar qiasar-bagh mein tishnigan-e-shauq hain shirin-labon ke mehman bat raha hai sharbat-e-didar qiasar-bagh mein qatre shabnam ke rag-e-gul par dikhate hain bahaar gundh rahe hain motiyon ke haar qiasar-bagh mein saya-e-baal-e-huma kya dhundhta hai ai 'amir' baith zer-e-saya-e-diwar qiasar-bagh mein