kis ki aahaT pe Dar gaya hoga

By syed-masood-naqviJanuary 5, 2024
kis ki aahat pe dar gaya hoga
dar ke mare wo mar gaya hoga
mera saya jo sath chalta tha
ba'd mere kidhar gaya hoga


khinchta tha jo teri taswiren
wo musawwir to mar gaya hoga
khub waqif hun us ki fitrat se
qaul se wo mukar gaya hoga


chhupta phirta hai meri nazron se
kaam apna wo kar gaya hoga
25958 viewsghazalEnglish