kis ki ye siyasat hai kis ki hain ye tadbiren rahzanon ne pai hain rahbaron ki taqdiren mere khwab-e-wahshat ki jaane kya hon tabiren dar hai na zindan hai tauq hai na zanjiren aap ki amanat hain aap hi mita dije ye nuqush ulfat ke ye wafa ki tahriren kah raha hai sadiyon se taj ka hasin chehra fan agar mukammal ho bolti hain taswiren log jaane kyun us ko kah rahe hain diwana wo to apne khwabon ki dhundhta hai tabiren lut len na farzane azmat-e-junun 'sumbul' thak gae hain diwane so gai hain zanjiren