kis ne socha tha ki is had tak bhi ja sakta hun main

By shariq-kaifiFebruary 29, 2024
kis ne socha tha ki is had tak bhi ja sakta hun main
maut se bhi 'ishq ka chakkar chala sakta hun main
mujh se achchha koi aansu ponchhne wala nahin
sath rakh le wapsi mein kaam aa sakta hun main


waqt ne gunga kiya to hai magar itna nahin
ghar akela ho to ab bhi gunguna sakta hun main
'ishq mein tu jaan dene ki agar zid chhod de
roz tujh ko khud-kushi karna sikha sakta hun main


tum se badh kar kaun duniya mein mere nazdik hai
ek tumhin to ho ki jis ka dil dukha sakta hun main
bhid ka shikwa hamesha dusron se kis liye
yar khud ko bhi to raste se hata sakta hun main


44174 viewsghazalEnglish