kis qadar iztirab hai yaro zindagi ek azab hai yaro dil mera saf aaine ki tarah ek sada kitab hai yaro main hun nakaam ishq mein lekin kya koi kaamyab hai yaro jab se dekha hai is ne hans ke mujhe dil ki haalat kharab hai yaro gham-e-jaanan to rahat-e-dil hai fikr-e-duniya azab hai yaro us ne shayad kiya hai yaad mujhe dil mein kyun iztirab hai yaro puchhte kya ho us ka naqsh-o-nigar aap apna jawab hai yaro sun sakunga na dastan-e-ishq ab kahan mujh mein tab hai yaro kya karega koi kharab use jo azal se kharab hai yaro kuchh batao ki aaj 'danish' par kyun sitam be-hisab hai yaro