kis qadar manzil-e-asan mein rakkha gaya hun

By shehzad-anjum-burhaniJanuary 5, 2024
kis qadar manzil-e-asan mein rakkha gaya hun
phul asli hun main guldan mein rakkha gaya hun
dosto apni tawajjoh na hatana mujh se
ek ummid hun imkan mein rakkha gaya hun


ta na ho meri sada khwab-gah-e-shah mein mukhil
ehtiyatan bhi main aiwan mein rakkha gaya hun
wahi sahil ki tamanna bhi rakhega dil mein
jis ke ima pe main tufan mein rakkha gaya hun


main khuda hun na mere lafz khudai wale
ek ghar hai jahan juzdan mein rakkha gaya hun
koi masraf nahin rahta hai purani shai ka
phenkne ke liye dalan mein rakkha gaya hun


25626 viewsghazalEnglish