kis qayamat ki ghaTa chhai hai

By mahirul-qadriNovember 4, 2020
kis qayamat ki ghata chhai hai
dil ki har chot ubhar aai hai
dard badnam tamanna ruswa
ishq ruswai hi ruswai hai


us ne phir yaad kiya hai shayad
dil dhadakne ki sada aai hai
zulf o rukhsar ka manzar tauba
sham aur subh ki yakjai hai


hum se chhup chhup ke sanwarne wale
chashm-e-aina tamashai hai
dil tamanna se hai kitna be-zar
thokaren kha ke samajh aai hai


tum se 'mahir' ko nahin koi gila
us ne qismat hi buri pai hai
76092 viewsghazalEnglish