kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu

By abdul-rahman-ehsan-dehlviApril 24, 2024
kis se ahwal kahun apna main ai yar ki tu
mil ke aghyar se mujh se hai bezar ki tu
na meri baat ko puchhe hai na dekhe hai idhar
ek din ye na kiya aashiq-e-bimar ki tu


kis tarah se hai bata haal-e-dil ghamin kuchh to
kyun mai-e-gham se hai is tarah se sarshaar ki tu
roz ba-dida-tar khak basar phirta hai
na raha shahr mein ek kucha-o-bazar ki tu


wahan hain ja ke jatata hai ye musibat apni
aaj tak kul hain dil ko tere zinhaar ki tu
sakht bekal hai nikal kucha-e-gham se ab to
is qadr kab hai aziyyat ka saza-war ki tu


yunhi fariyaad-kunan nara-zanan khak basar hai
ek shab aaiyo mere pas-e-diwar ki tu
chah mein teri hi duba hai kunen mein gham ke
jun zulekha hain yusuf ka talabgar ki tu


mera ehsan hai mera aashiq-e-sadiq hai sanam
jabki ye bhi na ho main padhun ash’ar ki tu
54294 viewsghazalEnglish