kis se karun main ishq KHudara koi to ho

By amit-vermaJanuary 1, 2024
kis se karun main 'ishq khudara koi to ho
meri tarah hi 'ishq ka mara koi to ho
ye jism kya hai zindagi bhi saunp den use
lekin hamara sirf hamara koi to ho


hum ne khuda bana diya ye soch kar unhen
hum be-sahaaron ka bhi sahaara koi to ho
zarra bhi chahta hai sitara bane magar
us ko banane wala sitara koi to ho


hum aise kaise man len mashhur ho gae
shahron mein ishtihaar hamara koi to ho
jis par hum apne dil ke sabhi raaz khol den
itna bharose-mand khudara koi to ho


ye soch kar hi un ke badan par mala tha 'ishq
un ke badan pe rang hamara koi to ho
49420 viewsghazalEnglish