kis tarah banaen hum apna ye makan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai jodte unhen kaise aur phir kahan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai ek hasrat-e-tamir dil mein jo zara si thi dar tha jag utthegi aur jag utthi hai kan khol kar sun lo tum mera bayan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai ye to jaante sab hain hum bhi sochte ab hain jis nagar mein rahte the us nagar mein rahte hain ek hai zamin apni ek aasman yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai ghar nahin agar apna ghar mein ja to sakte hain dar nahin agar apna dar to khol sakte hain aa ke kah gaya hum ko kaun darmiyan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai is muqaddame par bhi ek muqaddama hoga zor-o-shor se hoga aur aaj hi hoga khol kar agar dekhen un ki hum dukan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai kya sabaq padhate hain shahr ko diyanat ka aa gaya hai jab is par faisla adalat ka aap kyun pakadte hain un ki choriyan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai rose main bikharta hun roz hi bikharta hai mere ghar ka shiraaza tum karo jo andaza kya suna gaya koi ghar ki dastan yaro ret us nagar ki hai int is nagar ki hai ghurkhiyon ke ganw se ret utha ke lae the int shahr se li thi ye na tha magar malum jhelna padengi phir ghar ki ghurkiyan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai int le gaya koi ret le gaya koi mujh ko zindagi-bhar ka rog de gaya koi rose kahta phirta hun main yahan wahan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai int ret se hum ne ek makan banaya tha hum ne han banaya tha par kahan banaya tha go ki jaante hain hum zer-e-asman yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai nun-mim-'rashid' se hum 'nabil' puchhenge zindagi to tum bhi ho zindagi to hum bhi hain kis tarah banaen hum nazm ka jahan yaro ret is nagar ki hai int is nagar ki hai