kis waqt hadson se paDa sabiqa mujhe
By hayat-madrasiApril 24, 2021
kis waqt hadson se pada sabiqa mujhe
khud nag ban ke dasta hai saya mera mujhe
main ne khushi se bar-e-amanat utha liya
hairat se takte rah gae arz-o-sama mujhe
ehsa-e-dard lazzat-e-gham pyar ka khumar
mat puchh bazm-e-naz se kya kya mila mujhe
ye inkishaf-e-zat hai mearaj-e-zindagi
kuchh bhi nahin hai yaad khuda ke siwa mujhe
taqrir kaam aai na tahrir umr bhar
ek jumbish-e-nigah ne chaunka diya mujhe
phir muskura uthe hain mere zakhm-ha-e-dil
phir teri yaad ban gai ek saneha mujhe
subh-e-nashat-e-dil hai na sham-e-gham-e-'hayat'
ai iztirab-e-shauq kahan le chala mujhe

25416 viewsghazal • English