kise jaana kahan hai munhasir hota hai is par bhi bhatakta hai koi bahar to koi ghar ke bhitar bhi kisi ko aas baadal se koi dariyaon ka talib agar hai tishna-lab sahra to pyasa hai samundar bhi shikasta khwab ki kirchen padi hain aankh mein shayad nazar mein chubhta hai jab tab adhura sa wo manzar bhi suragh is se hi lag jae mere hone na hone ka guzar kar dekh hi leta hun apne mein se ho kar bhi jise parchhain samjhe the haqiqat mein na paikar ho parakhna chahiye tha aap ko us shai ko chhu kar bhi palat kar muddaton baad apni tahriron se guzrun to lage aksar ki ho sakta tha is se aur behtar bhi