kise suraj kise chanda kahen hum
By shruti-chayaFebruary 29, 2024
kise suraj kise chanda kahen hum
kise ab aankh ka tara kahen hum
tere dar se bhi hum pyase hi laute
bata kaise tujhe dariya kahen hum
wafa ki aabru rakhni hai hum ko
to tujh ko kis liye jhuta kahen hum
hazaron zakhm dil se aa lagen hain
kise aa'la kise achchha kahen hum
mohabbat ne hamari jaan li hai
ise ab zahr ki pudiya kahen hum
kise ab aankh ka tara kahen hum
tere dar se bhi hum pyase hi laute
bata kaise tujhe dariya kahen hum
wafa ki aabru rakhni hai hum ko
to tujh ko kis liye jhuta kahen hum
hazaron zakhm dil se aa lagen hain
kise aa'la kise achchha kahen hum
mohabbat ne hamari jaan li hai
ise ab zahr ki pudiya kahen hum
62210 viewsghazal • English