kisi bhi shahr mein jao kahin qayam karo koi faza koi manzar kisi ke nam karo dua salam zaruri hai shahr walon se magar akele mein apna bhi ehtiram karo hamesha amn nahin hota fakhtaon mein kabhi-kabhaar uqabon se bhi kalam karo har ek basti badalti hai rang-rup kai jahan bhi subh guzaro udhar hi sham karo khuda ke hukm se shaitan bhi hai aadam bhi wo apna kaam karega tum apna kaam karo