kisi bhi tarh nahin tumko bhulne ka hai
By shakeel-azmiFebruary 29, 2024
kisi bhi tarh nahin tum ko bhulne ka hai
zara sa dil hai magar kitna be-kahe ka hai
wo lahr aati hai jati hai ek lamhe mein
phir us ke ba'd hai jo kuchh wo sochne ka hai
bachane wala bhi koi nahin kinare par
nadi ke sath yahi waqt dubne ka hai
tumhaari aankhon mein thahra hua hai jo manzar
naya nahin hai magar phir bhi dekhne ka hai
bahut qarib se har bar dekhta hun use
magar sawal wahi thode fasle ka hai
guzishta raat zara sa jo hum mein baqi tha
yahin kahin pe wo rishta bhi tutne ka hai
bahut sanbhal ke na chaliye ki hadsa hi na ho
'shakil' girna bhi dastur raste ka hai

75184 viewsghazal • English