kisi ghar ka bahut nuqsan hota hai to daulat-mand ka saman hota hai darun-e-dil agar iman hota hai to phir jina bada aasan hota hai hatheli par jo sar rakkhe ladai mein usi ki jit ka imkan hota hai badan ka bojh hum dhote hi rahte hain maren to ghair ka ehsan hota hai pate ki baat kah sakta hai wo pagal koi hushiyar bhi anjaan hota hai gharibi hath par rakhti hai khane ko amiron ka hi dastar-khwan hota hai 'asad' aa ja ki hum ko chain aa jae ye ghar tere bina sunsan hota hai