kisi goshe mein duniya ke makin hote hue bhi wo mere sath rahta hai nahin hote hue bhi musalsal aazmaish mein mujhe zalim ne rakkha kiya main ne nahin sajda jabin hote hue bhi musalsal marte rahte hain shab-khun zehn-o-dil par azizan raftagan zer-e-zamin hote hue bhi guzari hum ne sari zindagi ishq-e-butan mein mukammal us ki wahdat par yaqin hote hue bhi liye phirta hai qatil hath mein khanjar barahna muhayya pairahan mein aastin hote hue bhi main zarra khak ka hun wo sitara aasman ka wo mujh se dur hai mere qarin hote hue bhi na-jaane kaun si mitti ka 'abid' bhi bana hai hamesha khush nazar aaya hazin hote hue bhi