kisi ka nam jo leta hun aah karta hun tamam raat yahi ek gunah karta hun nigah-e-barq ka ehsan kab gawara hai main khud hi apna nasheman tabah karta hun ye rabt-e-shoala-o-shabnam nahin to phir kya hai main ashk-e-gham ki tabassum ki chah karta hun tu mai-kashi se mujhe rokta hai kyon zahid main imtiyaz-e-safed-o-siyah karta hun dikhai deta hai dhundla sa hasraton ka mazar main ahd-e-rafta pe jab bhi nigah karta hun tumhaare husn ki daulat se bhik le le kar dil-e-faqir ko main baadshah karta hun kisi ke lutf ka hamil nahin mazaq 'hayat' isi liye main sitam se nibah karta hun