kisi ke dukh ko zarurat thi parda-poshi ki

By sajid-raheemFebruary 28, 2024
kisi ke dukh ko zarurat thi parda-poshi ki
so hum ne sikh li aakhir zaban khamoshi ki
gulab jazbon ne aakhir use bhi gher liya
kal us ke hath mein dekhi kitab noshi ki


main aise shahr-e-gurezan mein ji raha hun jahan
nazar milana 'alamat hai garm-joshi ki
dukhon se khelta rahta hai raat din pagal
dil-e-tabah ko 'adat hai 'aish-koshi ki


hamare waste dariya na apna rukh mode
hamari pyas ko lat hai sarab-noshi ki
kahin lutere sazaen bhi katte honge
hamare han to riwayat hai taj-poshi ki


azal se jabr ko milte rahe qasida-go
nai nahin hai kahani qalam-faroshi ki
67303 viewsghazalEnglish