kisi ke hijr ke sae mein aa khaDa hun main

By aamir-ataFebruary 25, 2024
kisi ke hijr ke sae mein aa khada hun main
'ajib dukh hai mera chhanw mein jala hun main
abhi to sans hai baqi zara bacha hun main
wo kab talak nahin aaega dekhta hun main


main sar pe gathri ghamon ki uthae phirta hun
ab ahl-e-'ilm kahenge ki sar-phira hun main
bas is liye ki tera hausla na mand pade
bas is liye hi to kahta hun ab naya hun main


bas is liye ki mujhe kah ke sochna na pade
hamesha soch-samajh kar hi bolta hun main
ab is se qabl ta'aruf main apna pesh karun
harif pahle bata dete hain 'ata' hun main


91292 viewsghazalEnglish