kisi ke zikr se daim hamari zindagani hai
By aarif-nazeerAugust 7, 2024
kisi ke zikr se daim hamari zindagani hai
aur us ki rah se hatna hamari raegani hai
hamare khwab chahat aarzu sari tamannaen
tumhi ho tum nahin to kya hamari jawedani hai
teri chahat mein hum shiddat-pasandi par utar aaen
hamare bich hail hai jo ye diwar dhani hai
khuda teri zamin pe tera batwara nirala hai
kahin khushki hi khushki hai kahin pani hi pani hai
hamein bachpan hi se abba ne samjhaya tha ki 'arif'
mohabbat ke siwa duniya ki har ek chiz fani hai

60041 viewsghazal • English