kisi ki khoi hui yaad ke ishaare par main rang dhundne nikla hun us sitare par bhale ye mera badan ret ban ke ud jae main apne zor mein bahta rahunga dhaare par wahi damakte hue surkh lab wahi aankhen guman jin ka hua tha mujhe sharare par jagah jagah se hawa katne lagi hai badan bikhar na jaen chhaton par kahin hamare par meri giraft mein aate nahin the jis ke khwab usi ne di thin ye aankhen mujhe khasare par main par kar chuka dariya-e-khwab jab 'sajid' to wo dikhai diye dusre kinare par