kisi ki shab phir lahra gai to bas ek pal mein qayamat aa gai to churae phirta hai tu aankh mujh se nazar se gar nazar takra gai to nazar se dekhte ho chahaton ki mere chehre pe surkhi chha gai to abhi to kanpta hai jism dar se hamari ruh bhi tharra gai to buzurgon ki hidayat sath rakhiye kabhi jo zindagi bal kha gai to fasana zindagi ka kya sunoge meri aankhon mein badli chha gai to abhi dam lene ko thahrun main kaise safar mein phir thakawat aa gai to