kisi ki yaad mein dil be-qarar rahne de

By bhagwan-khilnani-saqiFebruary 26, 2024
kisi ki yaad mein dil be-qarar rahne de
tamam 'umr gham-e-intizar rahne de
hamare dil ke chaman mein to phul khil na sake
hamare zakhm-e-jigar par bahaar rahne de


wafa to wo na karenge ye jaanta hun main
be-e'tibar pe kuchh e'tibar rahne de
ye ashk hi to 'alamat hain meri chahat ki
tu aankhen yunhi meri ashk-bar rahne de


kabhi to dekhega aa kar wo haal 'saqi' ka
junun ka parda yunhi tar-tar rahne de
43608 viewsghazalEnglish