kisi ko kaise dikhaun main apni raat ke khel

By farhat-ehsasFebruary 6, 2024
kisi ko kaise dikhaun main apni raat ke khel
jo meri zat mein hote hain kaenat ke khel
gunah itne badhae ki pul hi tod diya
pul-e-siraat se khele pul-e-siraat ke khel


khiladi hum hain magar khelta hai aur koi
hamare hath mein kab hain hamare hat ke khel
hum is bisat pe ulti taraf se baithe hain
hamare hath mein aae hain sare mat ke khel


hum apne khun ki rawani mein she'r likhte hain
udhar wo khel rahe hain qalam dawat ke khel
badan bachao ki ab ke badan ki bari hai
ki ruh khel chuki apne sab najat ke khel


ye log maut se itne dare hue hain ki bas
koi sikhae kahan tak inhen hayat ke khel
30462 viewsghazalEnglish