kisi ko wasl mein ulfat ka sagar mar deta hai

By umar-alamMarch 1, 2024
kisi ko wasl mein ulfat ka sagar mar deta hai
kisi ko hijr mein yaadon ka lashkar mar deta hai
badi mushkil se ghazlon mein sitam us ke sunata hun
magar phir aap logon ka mukarrar mar deta hai


mohabbat kar to lunga main kisi se bhi magar yaro
koi mahbub aisa hai jo yaksar mar deta hai
main jab bhi bhejta hun khat pahunchta hi nahin us tak
na-jaane kaun raste mein kabutar mar deta hai


main apne wasl ki yaadon pe ji leta magar jaanan
mujhe har pal judai ka wo manzar mar deta hai
zamane se to lad lete hain hum ta-'umr par 'alam'
mere jaison ko aksar ye muqaddar mar deta hai


81427 viewsghazalEnglish