kisi la-ilaj rajai ne ye khabar chaman mein udai hai koi patta jab na ho ped par to samajh lo fasl-e-gul aai hai koi ishtirak zarur hai wo ho rang ka ki umang ka mera dil bhi to gul-e-surkh hai tera hath bhi to hinai hai wo kashish kuchh aur hi chiz hai jise husn kahte hain ahl-e-dil na jamal-e-ariz-o-chashm-o-lab na kamal-e-chust-qabai hai safar-e-hayat ke mod par mujhe tu mila ki khuda mila yahi mera kaba-e-justuju yahi meri hadd-e-rasai hai main jhukun to chand jhuka rahe main rukun to waqt ruka rahe main teri wafa ka jab ahl hun mere bas mein sari khudai hai main 'nadim' qarya-e-sim-o-zar se bhi sar-kashida guzar gaya jo meri ana ka ghurur hai meri umr bhar ki kamai hai